kuchh apne daur ki bhi kahani likha karo patthar ko mom khun ko pani likha karo jiddat ki rau mein log kahan se kahan gae tum se bane to baat purani likha karo wo ahd hai ki shola-fishan bijliyon ko bhi ghazlon mein rang-o-nur ki rani likha karo lafzon ko apne asl maani se aar hai ab doston ko dushman-e-jaani likha karo hai be-hison ki bhid na hoga koi asar akhbar mein hazar girani likha karo likhne ke waste koi unwan chahiye fariyaad-o-ah-o-ashk-fishani likha karo shohrat ke khwastgaro mera mashwara hai ye 'ghaalib' ka apne aap ko sani likha karo 'danish' zah-e-nasib mile zakhm-e-lala-rang har zakhm-e-dil ko un ki nishani likha karo