na taKHt-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai

na takht-o-taj mein ne lashkar-o-sipah mein hai
jo baat mard-e-qalandar ki bargah mein hai

sanam-kada hai jahan aur mard-e-haq hai khalil
ye nukta wo hai ki poshida la-ilah mein hai

wahi jahan hai tera jis ko tu kare paida
ye sang-o-khisht nahin jo teri nigah mein hai

mah o sitara se aage maqam hai jis ka
wo musht-e-khak abhi aawargan-e-rah mein hai

khabar mili hai khudayan-e-bahr-o-bar se mujhe
farang rahguzar-e-sail-e-be-panah mein hai

talash us ki fazaon mein kar nasib apna
jahan-e-taza meri aah-e-subh-gah mein hai

mere kadu ko ghanimat samajh ki baada-e-nab
na madrase mein hai baqi na khanqah mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close