meri zindagi bhi meri nahin ye hazar khanon mein bat gai mujhe ek mutthi zamin de ye zamin kitni simat gai teri yaad aae to chup rahun zara chup rahun to ghazal kahun ye ajib aag ki bel thi mere tan-badan se lipat gai mujhe likhne wala likhe bhi kya mujhe padhne wala padhe bhi kya jahan mera nam likha gaya wahin raushnai ulat gai na koi khushi na malal hai ki sabhi ka ek sa haal hai tere sukh ke din bhi guzar gae meri gham ki raat bhi kat gai meri band palkon par tut kar koi phul raat bikhar gaya mujhe siskiyon ne jaga diya meri kachchi nind uchat gai