na tare afshan na kahkashan hai namuna hansti hui jabin ka khula hai parcham gada hai jhanda falak par us aah-e-atishin ka rahe hain ghul-mil ke kaise donon ye ek hain dil ke kaise donon chhuta jo hum se kisi ka daman to sath hai ashk-o-atshin ka jo ek ho to hum us ko roen hue hain dushman badan ke roen hamein to har tar-e-astin par guman hai mar-e-astin ka jo rang un ka badal chala hai to shauq ab hai na walwala hai bahut hi nazuk muamla hai visal-e-mashuq-e-naznin ka chadhi hai kachche ghade ki aisi bandhi hai ye dhun hamein bhi saqi chakhaen waiz ko aaj hum bhi zara maza shahad-o-angbin ka tumhaare inkar ne chubhoe hamare dil mein hazaron nashtar tum aise nazuk ki naqsh ban kar raha labon par nishan nahin ka jo chhinten ud kar padin khudaya wo aur mahshar karengi barpa hai meri gardan par aur ulta ye khun qatil ki aastin ka kali na daman ki muskurae na aastin teri gul khilae main sadqe qatil na rang lae ye khun daman ka aastin ka 'riyaz' mashuq-e-mah-paikar koi na koi hai jalwa-gustar ki sham aai hai jo mere ghar wo chand lai hai chaudhwin ka