na-tawani ke sabab yan kis se uttha jae hai aah uthne ki kahen kya dam hi baitha jae hai naza mein har-chand hum chahen hain do baaten karen kya karen maqdur kab hai kis se bola jae hai aamad o raft un ki yan saat-ba-saat hai wahi kab tabibon ka hamare sar se balwa jae hai ja-e-riqqat hai meri haalat to ab ai ham-nashin panw kya sidhe karun main dam hi ulta jae hai tegh-e-abru tir-e-mizhgan sab rakhe hain san par in dinon us ki taraf kab hum se dekha jae hai zakhm-e-dil se mujh ko ek aati hai bu-e-uns si us ke kuche ki taraf shayad ye rasta jae hai 'mushafi' tu ishq ki wadi mein aakhir lut gaya is bayaban mein koi nadan tanha jae hai