khat se wo zor safa-e-husn ab kam ho gaya chah-e-yusuf tha zaqan so chah-e-rustam ho gaya sina-kobi-e-sang se dil-e-khun hone mein rahi haq-ba-jaanib tha hamare sakht matam ho gaya ek sa aalam nahin rahta hai us aalam ke beach ab jahan koi nahin yan ek aalam ho gaya aankh ke ladte teri aashob sa barpa hua zulf ke dirham hue ek jama barham ho gaya us lab-e-jaan-bakhsh ki hasrat ne mara jaan se aab-e-haiwan yaman-e-talea se mere sam ho gaya waqt tab tak tha to sajda masjidon mein kufr tha faeda ab jab ki qad mehrab sa kham ho gaya ishq un shahri ghazalon ka junun ko ab khincha wahshat-e-dil badh gai aaram-e-jaan ram ho gaya ji khinche jate hain fart-e-shauq se aankhon ki aur jin ne dekha ek-dam us ko so be-dam ho gaya hum ne jo kuchh us se dekha so khilaf-e-chashm-e-dasht apna izrail wo jaan mujassam ho gaya kya kahun kya tarhen badlen chah ne aakhir ko 'mir' tha girah jo dard chhati mein so ab gham ho gaya