na the ranj-o-alam aah-o-fughan kal shab jahan main tha bahaaren thin na tha khauf-e-khizan kal shab jahan mein tha jahan-e-sabit-o-sayyar tha gard-e-safar meri mere zer-e-qadam thi kahkashan kal shab jahan main tha pari-paikar nigare sarw-qadde lala-rukhsare hasin ek ek se badh kar the wahan kal shab jahan main tha moaddab saf-ba-saf karrubiyan tazim dete the sarir-ara the shah-e-do-jahan kal shab jahan main tha ata-e-ahl-e-dil hai is ko ahl-e-dil samajhte the main pahuncha kis tarah kaise wahan kal shab jahan main tha