nigah rakh di zaban rakh di mataa-e-qalb-o-jaan rakh di mita kar apni hasti pesh-e-sang-e-astan rakh di guman guzra tere naqsh-e-kaf-e-pa ka jahan rakh di nahin ye hosh hum ko hum ne peshani kahan rakh di banaya aur dil mein joshish-e-atish-fashan rakh di ghazab ki ek musht-e-khak zer-e-asman rakh di wo ab apna kahen ya ghair zarf-e-ahl-e-gulshan hai hamein ye fakhr kya kam hai bina-e-gulsitan rakh di mere sine mein ya-rab ye dil-e-betab kya kam tha jo is mein ek-tarfa khwahish-e-did-e-butan rakh di bada hi bol-baala tha magar hum ahl-e-wahshat ne uda kar ek hi thokar mein gard-e-asman rakh di huzur-e-dost kab thi jurat-e-arz-e-sukhan dil ko bayan kar ke nigah-e-shauq ne sab dastan rakh di tamashai banane ke liye aankhen ata ki hain sana-khwan ban ke rahne ke liye munh mein zaban rakh di zaban urdu bayan dil-ju aur andaz-e-ghazal khushbu zamin-e-sher mein kaifiyyat-e-bagh-e-jinan rakh di mubarak ye ghazal kah kar 'naim' apne liye tum ne jahan-e-sher mein buniyaad-e-qasr-e-jawedan rakh di