na to mai se na jam se KHum se

na to mai se na jam se khum se
ban gai baat ek tasadum se

tum mujhe bhi kabhi sada doge
ye tawaqqo na thi kabhi tum se

kuchh na kuchh dad mil gai us ko
padhta hai jo ghazal tarannum se

marne wala bhi bach gaya aakhir
aap ke sirf ek tabassum se

kya tamanna kare wo sahil ki
khelta hai jo khud talatum se

ishq ke zahr ka jo aadi ho
khauf kya us ko zahr-e-kazh-dum se

jin ko hasil thin daimi khushiyan
kis liye aaj hain wo gum-sum se

maut se pahle mar chuke kitne
khauf se ya kisi tawahhum se

gharq bede hue hain baatil ke
azm-e-‘khaki’ ke josh-e-qulzum se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close