wo kaam kijiye jo pasand aae chaar ke lamhat-e-mustaar nahin eatibar ke dil lije jaan lije sitam kijiye magar tane hain nagawar hamein bar bar ke aaen na aaen aap ko ab ikhtiyar hai hum to chale hain kat ke din intizar ke jo kuchh hain dagh aaj rukh-e-mahtab par wo naqsh to nahin hain dil-e-dagh-dar ke pukhta agar hon apne azaem to jaan-e-man unwan hi badal den gham-e-rozgar ke shauq-e-shikar ho to banen mahir-e-shikar warna shikar honge bajae shikar ke la saqiya bazud pila ab sharab-e-nab warna guzar na jaen kahin din bahaar ke 'khaki' har ek sher murassa hai is liye hasid bhi dad denge yaqinan pukar ke