na tujh se hai na gila aasman se hoga teri judai ka jhagda jahan se hoga tumhaare mere talluq ka log puchhte hain ki jaise faisla mere bayan se hoga agar yunhi mujhe rakkha gaya akele mein baramad aur koi us makan se hoga judai tai thi magar ye kabhi na socha tha ki tu juda bhi judagana shan se hoga guzar rahe hain mere din isi tafakhur mein ki agla qais mere khandan se hoga