tasawwur aap ka hai aur main hun

tasawwur aap ka hai aur main hun
yahi ab mashghala hai aur main hun

meri zid se mila phir dushmanon se
bas ab wo bewafa hai aur main hun

wo ho aur main hun aur koi na ho ghair
yahi har-dam dua hai aur main hun

tasawwur mein hain pahron un se baaten
shikayat ka maza hai aur main hun

tumhaari khu hai ranjish har ghadi ki
ye jhagda roz ka hai aur main hun

ilahi wasl hai ya khwab hai ye
husul-e-muddaa hai aur main hun

hazaron gham to dekhe us se mil kar
wahi phir hausla hai aur main hun

sahe kya kya sitam aur ab talak bhi
tamanna hai wafa hai aur main hun

gae wo to jahan jaana tha un ko
ab un ka naqsh-e-pa hai aur main hun

har ek se haal-e-dil kahta hun apna
ye charcha ja-ba-ja hai aur main hun

do aalam ki khushi se kuchh nahin kaam
faqat ek gham tera hai aur main hun

wo hai aur ahd-name hain adu se
nasibon ka likha hai aur main hun

gham-e-duri qayamat hai ki har-dam
ajal ka samna hai aur main hun

khuda ki jannaten hain aur hai khalq
sanam kucha tera hai aur main hun

sahar hote hi jate hi kisi ke
wahi aah-o-buka hai aur main hun

'nizam' us but ke gham mein ho tasalli
bas ek zat-e-khuda hai aur main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close