na wo dard hai na wo ranj hai na hujum zulmat-e-sham hai mere khushk honton pe yak-ba-yak jo chamak utha tera nam hai kabhi kahkashan se guzar gae kabhi bazm-e-gul mein utar gae jo samajh gae to thahar gae tera dar hi apna maqam hai mere gham hain kitne ajib se wo mila kahan hai nasib se yahan qurb ki mujhe aarzu wahan dur hi se salam hai jo chhupa ke pyason se main piyun jo kisi ke hath se chhin lun to wo pyas mujh se gunah hai to wo jam mujh pe haram hai suno sar-phiro mere hasido meri zindagi ka hai raaz kya mera sar kahin bhi jhuke to kyun mera dil kisi ka ghulam hai hamein thi khabar ye to peshtar ki hai aastin mein chhupi chhuri mile phir gale yahi soch kar chalo lab pe is ke to ram hai main wahi hun 'khalid'-na-rasa mujhe jaanta hai ye mai-kada mera jam jam mein aks hai mera bund bund mein nam hai