na wo dil-dada-e-lutf-o-karam hai

na wo dil-dada-e-lutf-o-karam hai
na us mein khwahish-e-jah-o-hasham hai

moattal ho gaya hai ek fariza
muqaffal chand hafton se haram hai

piyala zahr ka hai zindagi ye
magar lagta hai jaise jam-e-jam hai

bahut lagta hai ek chhota sa gham bhi
khushi jitni mile utni hi kam hai

main kaise dur kar dun us ko khud se
ye saya hi to mera ham-qadam hai

jo khud muhtaj hai kya us se mangun
na hoga rab jo patthar ka sanam hai

nikalo is ko apne dil se 'anjum'
ki ye arman hi baba-e-gham hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close