shiddat-e-dard ko kuchh aur badha sakta hai qaid-e-tanhai ka gham aap ko kha sakta hai muntazir rahta nahin hai wo kisi lamhe ka gham ka baadal to kisi waqt bhi chha sakta hai ya wo qatra hai mera dil jo rahe aankhon mein ya wo dariya hai jo kuze mein sama sakta hai gham bhulane ko use de dun dilasa lekin ye dilasa use gham yaad dila sakta hai dost mujh ko jo banata hai gharaz ki khatir waqt par hath wo dushman se mila sakta hai jashn khushiyon ka manata hi nahin hai jo kabhi ain mumkin hai wo har dard chhupa sakta hai gardan-e-amn pe dahshat ki chhuri hai 'anjum' kaun aise mein phir aawaz utha sakta hai