na wo fariyaad ka matlab na mansha-e-fughan samjhe hum aaj apni shab-e-gham ki ghalat-samaniyan samjhe badi mushkil se un ka raaz-e-ulfat ho saka pinhan badi muddat mein ja kar hum mizaj-e-raaz-dan samjhe ab aaya hai to baithe chaara-gar khamosh baalin par meri be-chainiyan dekhe meri be-tabiyan samjhe payam-e-shadmani kya samajh kar de koi us ko jo tere gham ko takmil-e-nishat-e-do-jahan samjhe main is duniya mein ai 'simab' ek raaz-e-haqiqat tha samajhne ki tarah ahl-e-jahan mujh ko kahan samjhe