yaad ke sahra mein kuchh to zindagi aae nazar sochta hun ab bana lun ret se hi koi ghar kis qadar yaaden ubhar aai hain tere nam se ek patthar phenkne se pad gae kitne bhanwar waqt ke andhe kunen mein pal rahi hai zindagi ai mere husn-e-takhyyul baam se niche utar tu asir-e-abru-e-shewa-e-pindar-e-husn main giraftar-e-nigah-e-zindagi-e-mukhtasar zabt ke qarye mein 'amjad' dekhiye kaise kate soch ki suni sadak par yaad ka lamba safar