na wo jazbaat ki lahren na ehsasat ka dariya liye phirta hun aankhon mein ajab khadshat ka dariya machalti shokh maujon ko main apne nam kyun likkhun ki aakhir khushk hoga mausam-e-barsat ka dariya kise malum ye kashti lage kis ghat par ja kar baha le jae kya jaane kidhar haalat ka dariya kahan is aankh ka jugnu ki chamke bhi to chhupne ko kahan hum bekason ki baatini zulmat ka dariya hawaen chup khala viran faza ghamgin safar mushkil rawan hadd-e-nazar tak jabr ke lamhat ka dariya zaban ki khamushi taqrir ko dafna nahin sakti nahin rukta 'figar' alfaz-o-takhliqat ka dariya