ek be-wafa ko pyar kiya hae kya kiya khud dil ko be-qarar kiya hae kya kiya malum tha ki ahd-e-wafa un ka jhut hai is par bhi e'tibar kiya hae kya kiya wo dil ki jis pe qimat-e-kaunain thi nisar nazr-e-nigah-e-yar kiya hae kya kiya khud hum ne fash fash kiya raaz-e-ashiqi daman ko tar tar kiya hae kya kiya aahen bhi bar bar bharin un ke hijr mein nala bhi bar bar kiya hae kya kiya mitne ka gham nahin hai bas itna malal hi kyun tera intizar kiya hae kya kiya hum ne to gham ko sine se apne laga liya gham ne hamein shikar kiya hae kya kiya sayyaad ki raza ye hum aansu na pi sake uzr-e-gham-bahaar kiya hae kya kiya qismat ne aah hum ko ye din bhi dikha diye qismat pe e'tibar kiya hae kya kiya rangini-e-khayal se kuchh bhi na bach saka har shai ko pur-bahaar kiya hae kya kiya dil ne bhula bhula ke teri bewafaiyan phir ahd ustuwar kiya hae kya kiya un ke sitam bhi sah ke na un se kiya gila kyun jabr ikhtiyar kiya hae kya kiya kafir ki chashm-e-naz pe kya dil-jigar ka zikr iman tak nisar kiya hae kya kiya kali ghata ke uthte hi tauba na rah saki tauba pe e'tibar kiya hae kya kiya sham-e-firaq qalb ke daghon ko gin liya taron ko bhi shumar kiya hae kya kiya 'bahzad' ki na qadar koi tum ko ho saki tum ne zalil-o-khwar kya hae kya kiya