na wo masarrat gunah mein hai na wo kashish ab sawab mein hai kharab-e-saman-e-zindagi sab jahan ki bazm-e-kharab mein hai hasin be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhi han kuchh hisab mein hai magar yahan tu hi tu hai yakta sawal tere jawab mein hai yahan hai bekar us ki hasrat yahan ki wo chiz hi nahin hai kare wo rahat ki justuju kyun jo is jahan-e-kharab mein hai padi hai bebak jis pe us ko pila diya ek jam-e-masti bala ki masti bhari hui us nigah-e-mast-e-shabab mein hai badal gai hai nigah-e-saqi to rang-e-mahfil badal gaya hai na ab wo pahli si mai-kashi hai na wo maza ab sharab mein hai suna tha hum ne ki hashr mein wo dikhane wale hain apna jalwa magar jo dekha to aaj bhi wo jamal-e-rangin naqab mein hai dikha raha hai uchhal uchhal kar ye sab ko josh-e-numud-e-ghafil ki goya dariya-e-be-karan ek nihan jahan-e-habab mein hai kahan wo naghmon mein soz-e-mutrib kahan wo aish-o-tarab ki duniya kahan wo pahla sa kaif baqi sada-e-chang-o-rabab mein hai hazaron ranginiyan bhi dekhin hazar jalwe bhi hum ne dekhe magar jo phir ghaur kar ke dekha to husn-e-mutlaq hijab mein hai jahan ke sab ranj-o-gham mita de mere muqaddar ko phir jaga de ilahi 'khushtar' ki iltija ye mudam teri janab mein hai