wo mere haal-e-dil se is qadar bhi be-khabar hoga khabar kya thi ki yun behis wo mera ham-safar hoga ki hum to umr bhar ladne ki khwahish le ke aae the khabar kya thi ki waqt-e-faisla yun mukhtasar hoga charagh-e-gham jalaya tha ujalon ki umidon mein khabar kya thi meri koshish ka ulta hi asar hoga dabe shoalon ko bhadkaya ki un ka aashiyan sulge khabar kya thi jalega jo mera apna hi ghar hoga wo jab rukhsat hua us ko pukara bhi nahin hum ne khabar kya thi ki pachhtawa hamein phir umr bhar hoga jahan meri har ek hasrat haqiqat mein badal jae khabar kya thi mere khwabon ka wo sahil kidhar hoga jise hum dhundhte phirte the khwabon mein khayalon mein khabar kya thi wo sadiyon se hamara muntazir hoga