na yaad aaya na bhula wo saneha mujh ko bana gaya jo ek aisa mujassama mujh ko ki raste mein khada but samajh ke chhod gaya tamam umr ki yaadon ka qafila mujh ko main so rahi thi usi dastan mein sadiyon se sula gaya tha jahan mera hafiza mujh ko kisi qadim kahani ka ek charagh hun main bujha ke chhod gai taq par hawa mujh ko phir uth ke nind mein jati thi us taraf har shab pukarta tha jidhar se mera pata mujh ko magar ye hosh na tha le ke ja raha hai kahan bikharti tutti yaadon ka silsila mujh ko