nikalna khud se mumkin hai na mumkin wapsi meri mujhe ghere hue hai har taraf se be-rukhi meri bujha ke rakh gaya hai kaun mujh ko taq-e-nisyan par mujhe andar se phunke de rahi hai raushni meri main khwabon ke mahal ki chhat se gir ke khud-kushi kar lun haqiqat se agar mumkin nahin hai dosti meri main apne jism ke murda ajaib-ghar ki zinat hun mujhe dimak ki surat chatti hai zindagi meri