nabz-e-ayyam tere khoj mein chalna chahe

nabz-e-ayyam tere khoj mein chalna chahe
waqt khud shisha-e-saat se nikalna chahe

dastaken deta hai paiham meri shiryanon mein
ek chashma ki jo patthar se ubalna chahe

mujh ko manzur hai wo silsila-e-sang-e-giran
kohkan mujh se agar waqt badalna chahe

tham gaya aa ke dam-e-baz-pasin lab pe wo nam
dil ye moti na ugalna na nigalna chahe

hum to ai daur-e-zaman khak ke zarre thahre
tu to phulon ko bhi qadmon mein masalna chahe

kah rahi hai ye zamistan ki shab-e-chaardahum
koi parwana jo is aag mein jalna chahe

umr isi thokaren khane ke amal mein guzri
jis tarah sang dhalanon pe sambhalna chahe

subh-dam jis ne uchhaala tha faza mein khurshed
dil sar-e-sham usi baam pe dhalna chahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close