milta hi nahin dard ka paikar koi mujh sa aaine mein ek shakhs hai kamtar koi mujh sa iman bhi tanha hai mera kufr bhi tanha momin koi mujh sa hai na kafir koi mujh sa hai kaun jo is abr ke parde mein rawan hai diwana hai diwana sarasar koi mujh sa kohsar ke daman mein milata hai nihan kaun aawaz se aawaz barabar koi mujh sa lene nahin deta kisi karwat mujhe aaram ek shakhs hatila mere andar koi mujh sa main tutta tara hun nazar mujh se mila lo phir kahe ko dekhoge mukarrar koi mujh sa aaina hun aur chehra-e-'khurshid' pe wa hun hoga kahin qismat ka sikandar koi mujh sa