naddi naddi ran padte hain jab se naw utari hai tufanon ke kas-bal dekhe ab mallah ki bari hai nind ragon mein daud rahi hai por por bedari hai jism bahut hassas hai lekin dil jazbaat se aari hai aawazon ke paikar zakhmi lafzon ke but lahuluhan karte hain izhaar-e-tafannun kahte hain fankari hai manzil manzil panw jama kar hum bhi chale the ham-safaro ukhdi ukhdi chaal ka bais rah ki na-hamwari hai aankh thakan ne kholi hai ya azm-e-safar ne karwat li par phaila kar baithoge ya udne ki tayyari hai sach kahte ho niw mein is ki tedhi koi int nahin aadi-tirchhi chhat ka bais ghar ki kaj-diwari hai kya kahiye kyun aaj saron se zakhmon ka bojh uth na saka patthar the lekin halke the phul hai lekin bhaari hai basti basti qarya qarya koson aangan hai na munder zehn kharaba dil virana ghar aasab pe tari hai ek diya aur itna raushan jaise dahakta suraj ho kahne wale sach kahte hain raat bahut andhiyari hai