nind se aankh khuli hai abhi dekha kya hai dekh lena abhi kuchh der mein duniya kya hai bandh rakkha hai kisi soch ne ghar se hum ko warna apna dar-o-diwar se rishta kya hai ret ki int ki patthar ki ho ya mitti ki kisi diwar ke sae ka bharosa kya hai gher kar mujh ko bhi latka diya maslub ke sath main ne logon se ye puchha tha ki qissa kya hai sang-rezo ke siwa kuchh tere daman mein nahin kya samajh kar tu lapakta hai uthata kya hai apni danist mein samjhe koi duniya 'shahid' warna hathon mein lakiron ke alawa kya hai