nadi thi kashtiyan thin chandni thi jharna tha guzar gaya jo zamana kahan guzarna tha mujhi ko rona pada ratjage ka jashn jo tha shab-e-firaq wo tara nahin utarna tha mere jalal ko karna tha kham sar-e-taslim tere jamal ka shiraaza bhi bikharna tha tere junun ne ek nam de diya warna mujhe to yun bhi ye sahra ubur karna tha ek aisa zakhm ki jis par khizan ka saya na tha ek aisa pal ki jo har haal mein thaharna tha