munh na dhanko ab to surat dekh li dekh li ai hur-e-talat dekh li shakl badli aur surat ho gai ek nazar jis ne wo surat dekh li ek but sajda nahin karta tujhe bas khudaya teri qudrat dekh li hai ayan haal-e-sag-e-ashab-e-kahf jaanwar ki aadamiyyat dekh li chaar din bhi to na tum se nibh saki aap ki sahab-salamat dekh li jaante the hum na iza hijr ki wo bhi sahib ki badaulat dekh li ghurte hain ab nigah-e-qahr se chaar din chashm-e-inayat dekh li kyun ajal ab zahr piswata hun main rah teri ek muddat dekh li khul gai bande pe qadr-o-manzilat thi jo sahib ki haqiqat dekh li ja ke ghar jhuton na puchhi baat tak bas teri jhuti mohabbat dekh li us se kah aadat se jo waqif na ho dekh li khu teri khaslat dekh li bahr-e-hasti mein faqat misl-e-habab hai mujhe ek dam ki mohlat dekh li aap hairan hoga apne husn ka aaine mein gar wo surat dekh li chandni raaton mein chillata phira chand si jis ne wo surat dekh li phir wahi hai boriya aur apna faqr chaar din ki jah-o-hashmat dekh li kyun churaata hai wo kafir mujh se aankh kya nigah-e-chashm-e-hasrat dekh li yaad aaya 'rind' wo paiman-shikan gar kahin baham mohabbat dekh li