nae dinon ke nae sahifon mein zikr-e-mehr-o-wafa nahin hai mohabbaton ki jasaraton ki saza nahin hai jaza nahin hai nigah ke shokh-pan ko beganagi ka aaseb das gaya hai mughayrat ka fusun-zada dil junun ke shayan raha nahin hai koi bhi sajni kisi bhi sajan ki muntazir hai na muztarib hai tamam baam aur dar bujhe hain kahin bhi raushan diya nahin hai hayat ke pur-jamal manzar pe koi nutq aur qalam na mahka naya qalamkar nudrat-e-fan ki khushbuon par fida nahin hai yahin pe kal hum se tum se yaro muaddaton ko janam mila tha dayar-e-yaran wahi hai lekin koi wafa-ashna nahin hai visal-ghadiyon firaq-lamhon ke gham, tarab sab fasanche hain milan ka aur na-milan ka sukh dukh dilon ki tah mein chhupa nahin hai main dair o kaba mein dhund aaya to main ne paya ye ilm o irfan main ek insan hun meri hasti se koi hasti wara nahin hai wo chashm-e-bina ki manzilen thin ye kor-chashmi ke marhale hain purani pahchan mar gai hai kisi se koi mila nahin hai