nae ghamze nae andaz nazar aate hain din-ba-din husn ke eajaz nazar aate hain wo shahid-e-nigah-e-naz nazar aate hain aaj-kal aur hi andaz nazar aate hain sar jhukae hue chalta hun tere kuche mein kyunki sar-baz hi sar-baz nazar aate hain bahut unche na ude hain na udenge gesu ye kabutar to girah-baz nazar aate hain jhut khud bolna ulta mujhe jhuta kahna sach hai dam-bazon ko dam-baz nazar aate hain bhej to di hai ghazal dekhiye khush hon ki na hon kuchh khatakte hoe alfaz nazar aate hain ghamza-o-naz-o-ada mehr-o-wafa jaur-o-jafa sab ke sab khana-bar-andaz nazar aate hain lutf aae jo shab-e-wasl moazzin so jae kyunki wo gosh-bar-awaz nazar aate hain umar guzri hamin sarkar pe marte marte jaan dete hain to jaan-baz nazar aate hain bulbulon se nahin gulzar-e-zamana khali shukr hai yan bhi ham-awaz nazar aate hain bad-gumani bhi mohabbat ka nishan hai 'parwin' ghalati ho to ho naraaz nazar aate hain