us chashm ne ki tutiyon ko nukta-dan kiya aisi ki ek nigah ki mujhe be-zaban kiya ghabraun kis tarah dil-e-pur-ah se na main us sokhta ne ab to nihayat dhuan kiya haal us ne puchha jab na rahi taqat-e-bayan is puchhne ne aur mujhe be-zaban kiya yarab tu us ke dil se sada rakhiyo gham ko dur jis ne kisi ke dil ko kabhi shadman kiya nairang be-sabaati ka hai is chaman ka rang bulbul ne kya samajh ke yahan aashiyan kiya mazmun-e-khat usi se hai zahir ki hoga kya qasid ki ja jo ashk ko hum ne rawan kiya gah ishwa gah karishma gahe naz gah ada kis kis tarah se us ne mujhe imtihan kiya khubon ko ham-nashin tu kabhi dil na dijiyo main is muamle mein bahut saziyan kiya majnun ka ishq sach hai pa mauzunon ne 'raza' zarra si baat thi use ek dastan kiya