nae jhagde nirali kawishen ijad karte hain watan ki aabru ahl-e-watan barbaad karte hain hawa mein ud ke sair-e-alam-e-ijad karte hain farishte dang hain wo kaam aadam-zad karte hain naya maslak naya rang-e-sukhan ijad karte hain urus-e-sher ko hum qaid se aazad karte hain mata-e-pas-e-ghairat bul-hawas barbaad karte hain lab-e-khamosh ko sharminda-e-faryaad karte hain hawa-e-taza pa kar bostan ko yaad karte hain asiran-e-qafas waqt-e-sahar fariyaad karte hain zara ai kunj-e-marqad yaad rakhna us hamiyyat ko ki ghar viran kar ke hum tujhe aabaad karte hain har ek khisht-e-kuhan afsana-e-derina kahti hai zaban-e-haal se tute khandar fariyaad karte hain bala-e-jaan hain ye tasbih aur zunnar ke phande dil-e-haq-bin ko hum is qaid se aazad karte hain azan dete hain but-khane mein ja kar shan-e-momin se haram ke nara-e-naqus hum ijad karte hain nikal kar apne qalib se naya qalib basaegi asiri ke liye hum ruh ko aazad karte hain mohabbat ke chaman mein majma-e-ahbab rahta hai nai jannat isi duniya mein hum aabaad karte hain nahin ghatti meri aankhon mein tariki shab-e-gham ki ye tare raushni apni abas barbaad karte hain thake-mande musafir zulmat-e-sham-e-ghariban mein bahaar-e-jalwa-e-subh-e-watan ko yaad karte hain dil-e-nashad rota hai zaban uf kar nahin sakti koi sunta nahin yun be-nawa fariyaad karte hain janab-e-shaikh ko ye mashq hai yaad-e-ilahi ki khabar hoti nahin dil ko zaban se yaad karte hain nazar aati hai duniya ek ibaadat-gah-e-nurani sahar ka waqt hai bande khuda ko yaad karte hain sabaq umr-e-rawan ka dil-nashin hone nahin pata hamesha bhulte jate hain jo kuchh yaad karte hain zamane ka moallim imtihan un ka nahin karta jo aankhen khol kar ye dars-e-hasti yaad karte hain adab talim ka jauhar hai zewar hai jawani ka wahi shagird hain jo khidmat-e-ustad karte hain na jaani qadr teri umr-e-rafta hum ne collage mein nikal aate hain aansu ab tujhe jab yaad karte hain