baat suraj ki koi aaj bani hai ki nahin wo jo ek raat musalsal thi kati hai ki nahin tere hathon mein to aaina wahi hai ki jo tha sochta hun mera chehra bhi wahi hai ki nahin mujh ko takra ke ba-har-haal bikharna tha magar wo jo diwar si hail thi giri hai ki nahin us ka chehra hai ki mahtab wo aankhen hain ki jhil baat us baat se aage bhi chali hai ki nahin apne pahlu mein humakte hue sae na saja kya khabar un se ye milne ki ghadi hai ki nahin habs chehron pe to sadiyon se musallat hai magar koi aandhi bhi kisi dil mein uthi hai ki nahin puchhta phirta hun main bhagti kirnon se 'rashid' us bhare shahr mein apna bhi koi hai ki nahin