nae mausamon main Dhal kar dekhna tha

nae mausamon main dhal kar dekhna tha
hamein khud ko badal kar dekhna tha

bala ki khubsurat hai ye duniya
ise ghar se nikal kar dekhna tha

bahut mumkin tha raste ras aate
hamein kuchh dur chal kar dekhna tha

hum apne-ap se ukta gae hain
hamein khud se nikal kar dekhna tha

un aankhon ko ghalat lat lag gai hai
hasin manzar sambhal kar dekhna tha

buton par tabsira karne se pahle
tumhein patthar mein dhal kar dekhna tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close