guftugu achchhi lagi zauq-e-nazar achchha laga muddaton ke baad koi ham-safar achchha laga dil ka dukh jaana to dil ka masala hai par hamein us ka hans dena hamare haal par achchha laga har tarah ki be-sar-o-samaniyon ke bawajud aaj wo aaya to mujh ko apna ghar achchha laga baghban gulchin ko chahe jo kahe hum ko to phul shakh se badh kar kaf-e-dildar par achchha laga koi maqtal mein na pahuncha kaun zalim tha jise tegh-e-qatil se ziyaada apna sar achchha laga hum bhi qael hain wafa mein ustuwari ke magar koi puchhe kaun kis ko umr bhar achchha laga apni apni chahaten hain log ab jo bhi kahen ek pari-paikar ko ek aashufta-sar achchha laga 'mir' ke manind aksar zist karta tha 'faraaz' tha to wo diwana sa shair magar achchha laga