nae mujrim hain puranon ki taraf dekhte hain

nae mujrim hain puranon ki taraf dekhte hain
muqtadi apne imamon ki taraf dekhte hain

khauf se bhag khade hote hain buzdil fauji
hum nadamat se shahidon ki taraf dekhte hain

itna pyara hai wo chehra ki nazar padte hi
log hathon ki lakiron ki taraf dekhte hain

hijr ras aata to kyun karte tujhe yaad miyan
dhup lagti hai to chhanw ki taraf dekhte hain

kya khasara hai inhen bachchon ka ghar basne mein
hum tajjub se buzurgon ki taraf dekhte hain

jin ko aasani se didar mayassar hai tera
wo kahan bagh mein phulon ki taraf dekhte hain

pahla mauqa hai mohabbat ki taraf-dari ka
kabhi us ko kabhi logon ki taraf dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close