jab bhi nazm-e-mai-kada badla gaya ek na ek jam-e-hasin toda gaya jab safina mauj se takra gaya nakhuda ko bhi khuda yaad aa gaya main ne chheda qissa-e-jaur-e-falak jaane kyun un ko pasina aa gaya dekh kar un ki jafaon ka khulus main wafa ke nam par sharma gaya aap ab aae aansu ponchhne jab mere daman pe dhabba aa gaya