nae zamanon ki chap to sar pe aa khadi thi meri samaat guzishta adwar mein padi thi udhar diye ka badan hawa se tha para para idhar andhere ki aankh mein ek kiran gadi thi falak pe tha aatishin darakhton ka ek jangal aur un darakhton ke bich tarik jhonpadi thi samai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein wo ek hairat jo aaine se bahut badi thi jise piroya tha apne hathon se tere gham ne sada-e-girya mein hichkiyon ki ajab ladi thi hamari palkon pe raqs karte hue sharare aur aasman mein kahin sitaron ki phuljadi thi tulu subh-e-hazar khurshid ki dua par bujhe charaghon ki rakh daman pe aa padi thi sabhi ghamin the mere piyale mein zahr pa kar main mutmain tha ki meri takmil ki ghadi thi sawal-e-rukh gulistan mein aaya to phul thahra labon ki hasrat sukhan mein pahunchi to pankhudi thi ye log to un dinon bhi na-khush the 'shahryara' ki jin dinon mere pas jadu ki ek chhadi thi