nafas-e-arzu hai shoala-taraaz soz-e-ehsas teri umr daraaz khush hain kha kar fareb-e-'ishwa-e-naz kis qadar sada-dil hain ahl-e-niyaz ban gai gardish-e-jahan ki harif husn ki ek nigah-e-fitna-taraaz nam sunte hi aashiyane ka laut aai hai taqat-e-parwaz khalish-e-dil badha gai kuchh aur aap ki chashm-e-iltifat-nawaz kahin ye un ki rah-guzar to nahin jhuk padi hai 'ghani' jabin-e-niyaz ek hi saz ke hain do naghme meri khamoshi aap ki aawaz