rangin-nazaran lala-rukhan yun to bahut hain mashur nigah-o-dil-o-jaan yun to bahut hain hum hi hain ki jin ke liye khud chal padi manzil warna su-e-manzil nigaran yun to bahut hain hai kaun guzar jae jo is mauj-e-bala se aashufta-e-gesu-e-butan yun to bahut hain ab dekhiye ye bar-e-karam uthta hai kaise hum khugar-e-bedad-e-butan yun to bahut hain dil kawish-e-dauran se pareshan hai warna nazzare nigahon mein jawan yun to bahut hain hai tere hi gham se gham-e-kaunain ibarat kahne ko gham-e-kaun-o-makan yun bahut hain meayar hai bas tu hi mere husn-e-nazar ka firdaus-e-nazar khush-nazaran yun to bahut hain hum hain wo jinhen gham ne tere pyar kiya hai aashufta-dil-o-shoala-ba-jaan yun to bahut hain hamrah agar tum ho to kya fikr 'ghani' ko han ishq mein ranj aur ziyan yun to bahut hain