nafas nafas pe mujhe yaad aae jate hain tamam ruh-e-takhayyul pe chhae jate hain hum un ka zauq-e-mohabbat chhupae jate hain magar ye abr jo sawan ke aae jate hain yahi saman tha kisi ki wida-e-akhir ka sitara-ha-e-sahar jhilmilae jate hain zamana yaad kare ya saba kare khamosh hum ek charagh-e-mohabbat jalae jate hain 'nushur' aap ke ashaar-e-dard kya kahna kisi ki bazm-e-mohabbat mein gae jate hain