nafas nafas pe naya soz-e-agahi rakhna kisi ka dard bhi ho aankh mein nami rakhna wo tishna-lab hun ki meri ana ka hai mear samundaron se bhi paiman-e-tishnagi rakhna rafaqaton ke tasalsul se ji na bhar jae judaiyon ka bhi mausam kabhi kabhi rakhna wafa kisi pe koi qarz to nahin hoti jo ho sake to hamara khayal bhi rakhna kahin sitam ke andhere na ruh ko das len fasil-e-jism pe zakhmon ki raushni rakhna charagh-e-subh sahi hum hamare maslak mein rawa nahin hai andheron se dosti rakhna ajib shakhs hai wo bhi ki us ko aata hai gurez mein bhi ada-e-supurdagi rakhna talluqat mein rakhne bhi dal deta hai har aadmi se umiden nai nai rakhna hamara kaam hai harfon ko raushni de kar khud apne zarf mein chingariyan dabi rakhna hawa-e-shab ka nahin eatibar ai 'shair' hazar nind ho aankhen magar khuli rakhna