khwab se aankh wo mal kar jage kitne soe hue manzar jage kis ki khatir hai pareshan teri zulf hum isi fikr mein shab bhar jage tishnagi ne jo nichoda daman karwaten le ke samundar jage saikdon rang hain aankhon mein magar zehn mein ek hi paikar jage khwab ka jashn manane ke liye log sunte hain ki ghar ghar jage hum ne kaghaz pe likha nam tera harf o mani ke muqaddar jage un ko bedar na kahiye 'shair' log jo khwab ke andar jage