nafaz-e-nazm pur-srar hai aisa nahin lagta gulistan mein koi sarkar hai aisa nahin lagta yahan har jeb mein khwabon ki zar-muhren khanakti hain ye duniya dard ka bazar hai aisa nahin lagta hum apni jhonk mein aage ki jaanib badhte jate hain hamare samne diwar hai aisa nahin lagta sar-e-pindar se pa-e-junun ka rabt ghaeb hai ye pidhi barsar-e-paikar hai aisa nahin lagta main jaise ek rah-e-sust-rau ki sair karta hun meri ranon tale rahwar hai aisa nahin lagta umad ke aaya to hai abr-e-girya matla-e-jaan se magar ye saiqa-bardar hai aisa nahin lagta ba-yak jast-e-tasawwur bazm-e-jaanan mein pahunchta hai ye 'arshad' hijr ka bimar hai aisa nahin lagta