nafrat hai harf-e-wasl se achchha yuhin sahi

nafrat hai harf-e-wasl se achchha yuhin sahi
lo aao aur baat suno wo nahin sahi

chhodunga main na hath chale aao sath sath
nazuk kalai dukhti hai to aastin sahi

mashq-e-jafa ke waste kis ki talash hai
koi agar nahin hai to ye kam-tarin sahi

iqrar kar ke ghurte ho kyon meri taraf
bawar sahi yaqin sahi dil-nashin sahi

bedad kar ke chahte ho phir jafa ki dad
behtar baja durust sahih aafrin sahi

sajde hi karte jaenge hum teri rah mein
hai naqsh-e-pa se aar to naqsh-e-jabin sahi

be-dil-lagi bhi 'dagh' guzarni muhaal hai
wo dil nahin sahi wo tamanna nahin sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close