nafrat ke andheron ko miTa kyon nahin dete

nafrat ke andheron ko mita kyon nahin dete
lau sham-e-mohabbat ki badha kyon nahin dete

chahat hai agar amn ki ai amn ke khugar
diwar tassub ki gira kyon nahin dete

kyon karte ho khun adl ka mansab ki ihanat
munsif ho to mujrim ko saza kyon nahin dete

ai rahbaro tum jaise ho guftar mein yakta
kirdar ka sikka bhi bitha kyon nahin dete

tariq si futuhat ka arman agar hai
sahil pe safine ko jala kyon nahin dete

bante ho jo tum uswa-e-aslaf ke pairaw
dushnam-taraazon ko dua kyon nahin dete

saf mein jo adu surat-e-ahbab hain un ke
chehron se hijabaat utha kyon nahin dete

kyon jate ho tum mujh ko lagate hue thokar
patthar hun to raste se hata kyon nahin dete

'ahsan' tumhein pana hai jo mearaj-e-bulandi
sar rab ke huzur apna jhuka kyon nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close