nafraten mein chhupa pyar hoga kahin dasht mein thi to gulzar hoga kahin chal pada aaj phir hun use dhundne bhid mein gum mera yar hoga kahin hum the takte rahe raat bhar chand ko aas thi dil ko didar hoga kahin baj rahe saz yaadon ke gar hai yahan tu udhar bhi chhida tar hoga kahin ek wo hi tha kya is jahan mein bacha aur bhi koi gham-khwar hoga kahin main sajata hun aansu palak par meri kar raha wo bhi singar hoga kahin koi achchhi khabar bhi ho chhapti jahan kya yahan aisa akhbar hoga kahin dard ko bech kar ho munafea jahan aisa gumnam bazar hoga kahin