wo jalwa-gah-e-naz hai ya bazm-e-tur hai

wo jalwa-gah-e-naz hai ya bazm-e-tur hai
har ek zarra ru-kash-e-duniya-e-nur hai

in khud-numaiyon pe bhi mahrumiyan ajab
ai chashm-e-na-murad ye tera qusur hai

allah re imbisat-e-tamasha-e-husn-e-dost
duniya asir-e-mauja-e-bahr-e-surur hai

mayus ho na dil kisi umid-war ka
ai husn-e-be-niyaz tarahhum zarur hai

nairangi-e-kamal-e-mohabbat to dekhiye
musa harif-e-jalwa-e-laila-e-tur hai

main aur tab-e-jalwa-e-barq-e-jamal-e-yar
ai aql-e-harza-kar sarasar futur hai

ranginiyon mein gharq hai kyon bazm-e-kaenat
allah kaun jalwa-taraaz-e-zuhur hai

is dushman-e-wafa se hai ummid-e-iltifat
'razmi' ye kya khayal hai kuchh bhi shuur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close