nafraton mein chhupa pyar hoga kahin

nafraton mein chhupa pyar hoga kahin
dasht mein bhi to gulzar hoga kahin

chal pada aaj phir hun use dhundne
bhid mein gum mera yar hoga kahin

hum the takte rahe raat bhar chand ko
aas thi dil ko didar hoga kahin

baj rahe saz yaadon ke gar hai yahan
tu udhar bhi chhida tar hoga kahin

ek wo hi tha kya is jahan mein bacha
aur bhi koi gham-khwar hoga kahin

main sajata hun aansu palak par meri
kar raha wo bhi singar hoga kahin

koi achchhi khabar bhi ho chhapti jahan
kya yahan aisa akhbar hoga kahin

dard ko bech kar ho munafa jahan
aisa gumnam bazar hoga kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close